Salaam-o-Aadaab! Izzat Ma'ab Mere Ahbaab!!
Ham aaj aik nazuk tareen doar se guzar rhey hain ........Har taraf bahesiyat e muslim ham hi khasta haal hain............. hamarey dushman hama waqt tehqeeq aur justajoo mein lagey hain lekin ham apna time buhat hadd tak barbaad kar detey hain...........darust hai k aik forum entertaining activities k leay hi hota hai lekin kia hamaray mizaaj mein sirf hansi mizaaq hi dakhil ho chuki hai...? kia har sanjeeda aur ghair sanjeeda topic ko mizaq aur masti se ghair moa'ssir karna hamari sarisht ban gaya hai?
kia hama waqt la hasil behs mubahisey karna hamari tabeehat e saniya ban chukki hai?
Jab k aap agar western forums ko dekhien to kitney hi aisey hain jahan tehqeeq aur nazriya sazi ka kaam bhi gupshup k sath chalta rehta hai ................ aur wo hamarey nazriyat ki sarhaddon ko pamaal kar rhey hain lekin hamein ihsaas tak nhi hota ...hamein musbat aur ta'meeri soch ka muzahira karna ho ga........... tehqeeqi aur tarbeeyati andaaz apnaney hon gey.......... entertainment k sath sath sanjeedgi ko bhi ikhtiyaar karna ho ga................mein un members ko waqahee qadar ki nigaah se dekhta hon jo aaj bhi apni zimmadarioun ka ihsaas rakhtey hain .... bas ahbaab mere samait hamein ab is community ki fazza ko thora badalna ho ga....................InshAllah is k musbat nataij samney aaien gey ...aur Community ka husn bhi Dobala ho ga
JazakAllaho Khair
...Mashallaha, bohat acha aur mufeed nazarya hay. Inshallaha kuch hikmat-e-amli tayaar kertay hai'n implementation kay leaye.