Ye baat samajh mayn aaee naheen
Aur ammi nay samjhaee naheen
Maen kaesay meethee baat karoon
Meethee cheez tow khaee naheen
Aapee bhee pakaatee haen halwaa
Woh aakhir kiyoon 'halwaaee' naheen
Bhayya kee mangnee ho gaee kal
Kiyoon kal hee 'dulhan' Laaee naheen?
Ye baat samajh mayn aaee naheen
Naanee kay miyaan jab naana haen
Daadee kay miyaan jab daada haen
Tow aapi say maen nay poochha
Baajee kay miyaan kiya 'baaja' haen?
Woh huns huns kar ye kehnay lageen
Aay bhaaee naheen, O bhaaee naheen
Ye baat samajh mayn aaee naheen
Jab naya maheena aata hae
Bijlee ka bill aa jaata hae
Halaankey baadal bechaara
Ye bijlee muft lutaata hae
PPhir hum nay apnay ghar bijlee
Kiyoon baadal say lagwaaee naheen
Ye baat samajh mayn aaee naheen
Jo billi 'shayr' kee khaala hae
Pphir hum nay ussay kiyoon paala hae?
Kiya 'shayr' bohat nalaayaq hae
Khaala ko maar nikaala Hae
Ya jungle kay raaja kay haan
Miltee doodh malaaee naheen
Ye baat samajh mayn aaee naheen
Kiyoon lambay baal haen bhaaloo kay
Kiyoon uss Nay "tind " karaaee naheen
Kiya woh ik ganda bachcha hae
Ya uss kay abbu, bhai naheen
Ye uss ka 'Hair Style' hae
Ya jungle mayn koi 'naaee' naheen
Ye baat samajh mayn aaee naheen
Jo taaray jagmag kartay haen
Kiya unn ki 'chaachi Taaee' naheen
Ho ga koi rishta sooraj say
Ye baat hamayn batlaaee naheen
Per chanda kaisa mamoo hae
Jab ammi ka woh bhaaee naheen
Ye baat samajh mayn aaee naheen
Aur ammi nay samjhaee naheen
Maen kaesay meethee baat karoon
Meethee cheez tow khaee naheen
nice mater
