Viewed : 449 Mail to a Friend Rating : Rate it Submitted By : Slaila (slaila2004@gmail.com)
Mitrata shabdo ka bandhan nahi
hriday ki seema ko chhota hua
ek atoot bandhan hai,
kuch samay ka saath nahi,
ye warsho ka , Sampurna jeevan ka
bandhan hai,
Nishchhal, Niswartha , Pavitra ,
Ganga ki tarah paawan sambhandh hai,
Sansaar ki kalpana se bhi pare,
Bhavnaao ki sukhad anubhuti hai,
Ye vo bhavna hai jo har praani ka
hriday chhooti hai,
Jis prakar vishwaas paa jaana kisi ka
kathin hota hai,
usi prakar saccha Mitra paana,
Mujhe apne bhagya pe garv hai,
tum jaisa MITRA pakar,
Kalpana ki drishti se hatkar
ek sukhad anubhuti karati hui
tumhari Mitrata..
Jeevan ko sahi raah dikhlati hui
tumhari Mitrata..
Bhagya ka ek anmol uphaar jo
mere paas hai..
Tumhari MITRATA..
|